Dost
Firse wahi chota sa shabd
Per ye ek taraf
Or puri duniya ek taraf
Mujje bewajah phone karke apni kahaniyan sunati hai
Or main na sunu toh daanti hai
Per fir bhi sunati hai
Hai toh meri pakki saheli
Per maa ki tarah daanti hai, mera dhyan rakhti hai
Pyar toh mujjse bohot se log karte hain
Per wo jo mere liye karti hai
Waisa kisi ne nahi kiya kabhi
Wo mujje sunti hai
Meri har choti se choti baat kaan lagake sunti hai
Use meri galtiyan pata hoti hai
Fir bhi chup chaap mujje sunti hai
Logo toh sunte hi tumhe
Tumahri galtiyan batane ke liye hain
Wo mujje sunti hai mera dil halka karwane ke liye
Wo mujje salah nahi deti
Kehti hai chal kahi baithke coffee peete hain
Chal aaj iski or uski chughli karte hain
Wo mujhe hasati hai
Mujse ladti hai
Per mera dil nahi dukhati kabhi
Hum samajhdaari ki kam
Bematlab ki baten zada karte hain
Wo kya hai na
Samajhdaar log toh bade mile hain duniya mein
Bematlab ki dosti ke apne hi fayde hain
Usse baat karte hue dar nahi lagta
Use kuch batate hue dar nahi lagta
Mujje kitni bhi baaten sunade
Per koi mere liye use kuch kehde toh use or sunake ati hai
Wo meri phone wali saheli nahi
Wo mere peeche wale gate per mujhe apni gadi mein lene ati hai
Wo mere tedhi medhi baaten sunke pehle mujje gussa karti hai or fir dil kholke hasna shuru kar deti hai.
Wo mere ander ki hulchal ko
Pal pal janti hai
Main bhi uske ghumo ko khoob pehchaanti hun
Leave a comment