Isse koi chota shabd is duniya mein hai toh batao , or isse bada rishta is duniya mein hai toh wo bhi batado.
Maa, meri pehli saheli
Daant daant kar bada kiya hai jisne mujhe
Wo kehti hai bade hoke sasural jana hai tujhe
Kabhi ye samjhati toh kabhi wo samjhane lag jati hai
Wo pehle papa se meri galtiyan chupati hai
Or fir unhi galtion per mujje bada sunati hai
Wo har baat per tokti hai mujhe or kehti hai
Ladki ki izzat badi nazuk hoti hai
Ye mat kar, wo mat kar
Har waqt mujhe ye batati rehti hai
Wo ghar mein hoti hai toh ghar ghar lagta hai
Wo na ho toh ghar khane ko daudta hai
Wo meri zindagi mein pani ki lehron ki tarah hai
Jaise doobte bacche ko life boat bachati hai
Uske hone se hu main
Wo na ho aas paas toh kho hi jati hu main
Wo mere chupe hue ansun aksar
Pakad leti hai
Wo mere ander ke raaz bina kahe jaan jati hai
Hazaro ki bheed mein uski bajai hui taali kahin kho si jati hai
Per wo ek shaks ka wahan hona mujhe hausla dilati hai
Puri duniya bhi mujjse khafa ho jae toh chalega
Meri maa agar mere sath khadi ho jae
Toh puri duniya chaladun main
Maa tum meri pehli hi nahi
Meri akhiri saheli bhi tum hi ho
Maa hai toh chota sa shabd
Per isne pure sansaar ko apne aanchal mein chupa rakha hai.
Leave a comment