Jab seema per khatra aya
Fir sanik ne vaar chalaya
Bharat maa ne fir di pookar
Bachao sindoor
Fir ek baar
Chale jawan bina dare
Andhi toofano se bhi lade
Mann mein tha tirange ka pyar
Maa ne jalaya aas ka deepak , fir ek baar
Patni boli, ja tu vijay hone
Main hu hamesha tere mann mein
Sindoor mera rahe salaamat
Bas ek yehi hai ab meri hasrat
Goliyan chali
Chale barood
Per na hile hamare jawan
Operation sindoor bana misaal
Jawano ne badaldi dushman ki chaal
kuch laute tirange mein lipte huye
Hua unka naam amar
Fir bhi
Har naari ne garv se kaha
Bacha liya tune mera sindoor
Apna balidaan dekar
Leave a comment